Dadi ki pudiya
Dadi ki pudiya
Follow us:WhatsappFacebookTwitterTelegram.cls-1{fill:#4d4d4d;}.cls-2{fill:#fff;}Google NewsZindagi ke kai mod par kagaz ki ek pudiya mera saath deti hai,
wo pudiya jo Dadi har baar bade pyaar se banati hai.
Purani se kisi akhbar ke ek tukde me lipte,
kuch phool aur kuch bel ke patte.
Fursat se apne bholebaba ko bahlakar fuslakar,
deti hai pudiya me har mushkil sawal ka jawab bandhkar.




School ka imtihaan ho ya kisi lambe safar par ho jana,
bag ke ek kinare pakka tha ab uska rehna.
Pehle sirf pudiya hamare liye thi bandhti,
ab to uski charcha har galli mohalle me hai chalti.
Srivastavaji ko doosri beti ki jagah ab chahiye ek beta,
Sinhaji ko banna hai ilake ka agla neta.
Yadavji ki bhains picchle teen dino se hai gumshuda,
Raiji ki dhun bus ek hai, kab honge wo shadi shuda?




Dadi ki pudiya har mauke par dikhane lagi apna kamaal,
Srivastavaji ko beta hua, Sinhaji bane neta bemisal.
Har khush khabri ke saath aane lage they rang birange dibbe,
kabhi Kolkata se agarbatti,
Chennai se sari,
to kabhi Delhi ke morabbe.
Maine pucha "Ab kya bholebaba bhi ghoons lage hai lene ?
Duniya kaam se pehle aur ye kaam ke baad.Fark bus itna hai inme?"




Dadi boli "Main pudiya ke liye koi dhan nahi leti,
kabhi kabhat bhakti se di gaye ek sadi aur baba ke liye phool agarbatti."
Maine kaha "Par hamne to aapko ya aapke baba ko kabhi kuch na chadaya,
kya isliye meri pudiya ka success rate 100 se 50 perecent par hai utar aaya?"





Dadi muskuraye aur boli "Kah deti hoon aaj ek baat dil kholkar,
darasal tum log samjhate ho ghar ki murgi hai daal barabar."
Kuch socha,samjha,to paya ki aakhir sahi hai dadi ki ye baat,
bachpan se jis pudiya ko hai dekha,lagta tha pata hai uske sab raaz.
Dil ko thoda tatola to laga main kabhie kyun na ye jaan paya,
aakhir dadi ko itna jadu-tona kahan se aaya.
Dadi boli "tere sankoch ko karti hoon dur, par baat meri dhyan se sun,
batati hun ki pudiya me kahan se aaye itne saare goon.
Jadu-tona mujhe kuch nahi aata, ye hai bus vishwaas ki baat,
dil me thaan lo,to de sakte ho har mushkil ko maat.
Baba ka naam le,deti hoon pudiya,ki sach ho sabke sapne,
log pudiya par bharosa kar,
pate hain takat aur himmat,
bus dum par apne.
Jadu nahi,tona nahi,nahi hai isme baba ki koi saanth gaanth,
uspar bharosa aur khudpar yakin karo,yehi hai zindagi ka paath."





Us din se gaath bandh li hai maine dadi ki wo baat,
bag me pudiya aur saath me baba,zindagi acchi gujar rahi hai din raat.
Pudiya aaj bhi dikha rahi hai apna rangarang kamaal khoob,
zindagiyaan bhi badal rahi hai,bus badli nahi hai Dadi aur pudiya ka rang roop.

(This poem is about my Dadi or Dida(in bengali),as I call her.Her pudiyas still has that magical power.But according to Dida,it works only only when the person completely trusts her.I tell her thats a great excuse if the pudiya fails to do the magic.She insists thats the only criteria.)

About the AuthorSomen Mishra Somen Mishra is Senior Entertainment Correspondent in the Mumbai Bureau of CNN IBN. Starting with Zee Network, he has been chasing the stars, crunchin...Read Morefirst published:November 03, 2006, 19:27 ISTlast updated:November 03, 2006, 19:27 IST
window._taboola = window._taboola || [];_taboola.push({mode: 'thumbnails-mid-article',container: 'taboola-mid-article-thumbnails',placement: 'Mid Article Thumbnails',target_type: 'mix'});
let eventFire = false;
window.addEventListener('scroll', () => {
if (window.taboolaInt && !eventFire) {
setTimeout(() => {
ga('send', 'event', 'Mid Article Thumbnails', 'PV');
ga('set', 'dimension22', "Taboola Yes");
}, 4000);
eventFire = true;
}
});
 
window._taboola = window._taboola || [];_taboola.push({mode: 'thumbnails-a', container: 'taboola-below-article-thumbnails', placement: 'Below Article Thumbnails', target_type: 'mix' });Latest News

Zindagi ke kai mod par kagaz ki ek pudiya mera saath deti hai,

wo pudiya jo Dadi har baar bade pyaar se banati hai.

Purani se kisi akhbar ke ek tukde me lipte,

kuch phool aur kuch bel ke patte.

Fursat se apne bholebaba ko bahlakar fuslakar,

deti hai pudiya me har mushkil sawal ka jawab bandhkar.

School ka imtihaan ho ya kisi lambe safar par ho jana,

bag ke ek kinare pakka tha ab uska rehna.

Pehle sirf pudiya hamare liye thi bandhti,

ab to uski charcha har galli mohalle me hai chalti.

Srivastavaji ko doosri beti ki jagah ab chahiye ek beta,

Sinhaji ko banna hai ilake ka agla neta.

Yadavji ki bhains picchle teen dino se hai gumshuda,

Raiji ki dhun bus ek hai, kab honge wo shadi shuda?

Dadi ki pudiya har mauke par dikhane lagi apna kamaal,

Srivastavaji ko beta hua, Sinhaji bane neta bemisal.

Har khush khabri ke saath aane lage they rang birange dibbe,

kabhi Kolkata se agarbatti,

Chennai se sari,

to kabhi Delhi ke morabbe.

Maine pucha "Ab kya bholebaba bhi ghoons lage hai lene ?

Duniya kaam se pehle aur ye kaam ke baad.Fark bus itna hai inme?"

Dadi boli "Main pudiya ke liye koi dhan nahi leti,

kabhi kabhat bhakti se di gaye ek sadi aur baba ke liye phool agarbatti."

Maine kaha "Par hamne to aapko ya aapke baba ko kabhi kuch na chadaya,

kya isliye meri pudiya ka success rate 100 se 50 perecent par hai utar aaya?"

Dadi muskuraye aur boli "Kah deti hoon aaj ek baat dil kholkar,

darasal tum log samjhate ho ghar ki murgi hai daal barabar."

Kuch socha,samjha,to paya ki aakhir sahi hai dadi ki ye baat,

bachpan se jis pudiya ko hai dekha,lagta tha pata hai uske sab raaz.

Dil ko thoda tatola to laga main kabhie kyun na ye jaan paya,

aakhir dadi ko itna jadu-tona kahan se aaya.

Dadi boli "tere sankoch ko karti hoon dur, par baat meri dhyan se sun,

batati hun ki pudiya me kahan se aaye itne saare goon.

Jadu-tona mujhe kuch nahi aata, ye hai bus vishwaas ki baat,

dil me thaan lo,to de sakte ho har mushkil ko maat.

Baba ka naam le,deti hoon pudiya,ki sach ho sabke sapne,

log pudiya par bharosa kar,

pate hain takat aur himmat,

bus dum par apne.

Jadu nahi,tona nahi,nahi hai isme baba ki koi saanth gaanth,

uspar bharosa aur khudpar yakin karo,yehi hai zindagi ka paath."

Us din se gaath bandh li hai maine dadi ki wo baat,

bag me pudiya aur saath me baba,zindagi acchi gujar rahi hai din raat.

Pudiya aaj bhi dikha rahi hai apna rangarang kamaal khoob,

zindagiyaan bhi badal rahi hai,bus badli nahi hai Dadi aur pudiya ka rang roop.

(This poem is about my Dadi or Dida(in bengali),as I call her.Her pudiyas still has that magical power.But according to Dida,it works only only when the person completely trusts her.I tell her thats a great excuse if the pudiya fails to do the magic.She insists thats the only criteria.)

What's your reaction?

Comments

https://wapozavr.com/assets/images/user-avatar-s.jpg

0 comment

Write the first comment for this!